Hyderabadi Chicken Recipe
Hyderabadi Murgh Kari
Ajzaa:
Murghi: 2 kilo (8 piece banwa len)
Dahi: 2 cup
Peyaz: 4 adad (bareek kati hui)
Hari mirch: 8 adad (bareek kat len)
Adrak paste: 3 khaney ke chamach
Haldi powder: Ek chaye ka chamach
Moong phali ke daney: Ek chothai cup
Hara dhaniya: Ek tahai cup (bareek kat len)
Podeena: Ek tahai cup (bareek kat len)
Suraj makhi ke beej: Ek khaney ka chamach
Garam masala powder: 2 chaye ke chamach
Lemon ka ras: 2 khaney ke chamach
Tail: Talne ke liye
Ghee: 2 tahai cup
Lehsan paste: 3 khaney ke chamach
Khopra: 2 tahai cup
Namak: Hasb-e-zaiqa
Kaju, badam: Ek tahai cup
Tarkeeb:
Murghi ke tukrey dho len. Moong phali or suraj makhi ke beej koot len. Dahi ko ek peyale ma phent len. Ek pain ma tail garam kar ke kaju or badam tal kar golden brown kar len. Phir ghee ko garam kar ke peyaz ko fry kar len. Golden hone per adrak lehsan paste dal den. Ek minute bad haldi, namak or hari mirch dal den. Phir pisey huwe moong phali ke daney, pisa hua khopra or dahi dal kar itna bhoone ke masala ghee chor de. Ab chicken dal kar thora sa bhoonen or galney ke liye takreeban ek cup pani dal den ta ke chicken gal jaye. Is ke bad garam masala powder chirak den. Sath hi hara dhaniya or hara podeena dal den. Lemon ka rus, taley huwe kaju or badam bi dal den. Mazedar hyderabadi chicken recipe tyar hai. Isey ek garam dish ma nikal kar roti ya parathon ke sath pesh karen.