Orange Benefits
Orange Benefits in Urdu
Malta jo hamare han bakasrat hota ha or isi tanasub se istemal hota hai. Narangi, sangtra, japani phal (persmeen) ke khaandan se taaluq rakhta ha. Ye khandan tarshawa kehlata ha. Tarshawa phalon ka shumar ghazari aitbar se eham phalon ma hota ha ta ham har ek ki rangat, khushboo, zaiqa or taseer alag alag ha. Lakin malta rangat, khushboo, zaiqa or taseer ke lehaz se munfrid maqam rakhta ha. Ye musammi ke muqabil zeyada tursh hota ha. Pakistan ma is ki ek or kisam ki kasht bi khoob hone lagi hai jo andar se surakh or chukandri rang ki hot ha. Is hawale se ye red blood kehlati hai. Malta tamam umar ke log bari raghbat se istemal karte hain or har umar ke logon ke liye yaksan mufeed ha. Maltey ke keemyai ajza ma citric acid or vitamin c bakasrat hote hain. Is ke elawa maadni namak maslan calcium, magnissuim, folaad, potassium, phosphors, jist ot tanba waghera bi hote hain. Kuch orange benefits darj zail hain:
Maltey ka ras (juice) haazim hota ha or jism ki quwat-e-madbra ki islah karta hai. Dil-o-damagh ko farhat bakhshta or medey ko quwat deta ha. Saaleh khoon peda karta ha jis se rangat saaf ho kar nikhar ata ha. Shiddat garmi ma is ka istemal garmi se taskeen deta hai. Yun ye mosmi shiddtion se bachata ha. Wesey bi qudrti nizam ke tehat phal apne mosmi taqazon ko pura karte hain. Hiddat or garmi kam karne ke liye ye qudarti tonic ha. Garmi or zehron ko khatm karta hai. Weham or wehshat ma fayda deta ha. Tabiyat ma chusti or farhat peda karta ha. Malta zod hazam ha or halaq se neeche utarte hi khoon ma shamil ho jata ha. Ye ghaza ke haazme ma bi madad deta hai.