Poetry of Allama Iqbal
Khird Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Or Nahi
Khird ke pass khabar ke siwa kuch or nahi
Tera ilaj-e-nazar ke siwa kuch or nahi
Ragon ma gardash-e-khoon ha agar to kya hasil
Heyat soz-e-jigar ke siwa kuch or nahi
Har ek muqam se agey muqam ha tera
Heyat zoq-e-safar ke siwa kuch or nahi
Jisey qisaad samjte hain tajran-e-farang
Wo shey mataye hunar ke siwa kuch or nahi
Giran baha ha to hafz khudi se ha warna
Gehri ma aab-e-gehr ke siwa kuch or nahi
Bara kareem ha Iqbal be nawa lakin
Ataye shola sharar ke siwa kuch or nahi
(Poetry of Allama Iqbal)